hai ikhtilaf zaruri tumhein pata nahin hai charagh kaise jalega jahan hawa nahin hai tumhaare hath chhudane se ruk gaya hai safar ye dhup chhanw musafir ka masala nahin hai tumhaare jaane se be-lutf ho gai har shai ki zahar kha ke bhi dekha hai zaiqa nahin hai main dhund laya hun jab us ke jaisa duja shakhs so ab wo kahne laga mujh sa tisra nahin hai zaman makan mein kahin hoga dhund lunga use mujhe bas itna bata do ki wo khuda nahin hai