jis baat ko sun kar tujhe taklif hui hai

jis baat ko sun kar tujhe taklif hui hai
duniya mein usi baat ki tarif hui hai

paigham-e-masarrat pe khushi khub hai lekin
sunte hain ki ham-sae ko taklif hui hai

bigde hue kuchh harf hain be-mani se kuchh lafz
ye zist ke auraq ki talif hui hai

rudad mein aisi to koi baat nahin thi
mano ki na mano koi tahrif hui hai

dushman pe bhi guzre na kabhi aisa zamana
kaliyon ke chatakne se bhi taklif hui hai

likhta tha qaside to koi sunta nahin tha
likhne laga jab hajw to tarif hui hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close