hai iKHtiyar mein tere na mere bas mein hai

hai ikhtiyar mein tere na mere bas mein hai
wo ek lamha jo auron ki dastaras mein hai

wo munh se kuchh nahin kahta ki pesh-o-pas mein hai
badan ka karb to zahir nafas nafas mein hai

agarche shor bahut kucha-e-hawas mein hai
wo kya kare ki jo chaaliswen baras mein hai

karega kaun use sazish-e-badan mein sharik
jo shakhs qaid abhi ruh ke qafas mein hai

utho ki phir hamein izn-e-safar mile na mile
abhi to lutf-e-sada nala-e-jaras mein hai

use pasand ki wo tut kar gira warna
shajar mein kya nahin hota jo khar-o-khas mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close