naddi ye jaise mauj mein dariya se ja mile

naddi ye jaise mauj mein dariya se ja mile
tum se kahin milun main agar rasta mile

milti hai ek sans ki mohlat kabhi kabhi
shayad ye raat bhi teri subhon se ja mile

jo bhi mila wo apni ana ka asir tha
insan ko dhundne mein gai to khuda mile

is ahd-e-intishaar mein kya ittifaq hai
dard-o-alam ye ranj-o-malal ek ja mile

dil mein zara khulus na mehr-o-wafa ka rang
rasman bahut aziz bahut aqraba mile

meri shikast mein mere kuchh mehrban bhi the
meri safen jo chhod ke dushman se ja mile

us samt se bhi guzre nai rut ka karwan
ghaaron ke basiyon ko bhi taza hawa mile

'jaanan' ye zindagi ke ajab sanehat hain
kuchh log apne-ap se aksar khafa mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close