hai inhin do namon se har ek afsane ka nam ek tera nam hai ek tere diwane ka nam tujh se raushan hai charagh-e-mahfil-e-dar-o-rasan mujh se bhi is daur mein zinda hai parwane ka nam teri zulf-o-chashm-o-lab ka nam hai meri ghazal tera andaz-e-sukhan mere ghazal gane ka nam chal usi andaz se han chal usi andaz se shokhi-e-baad-e-saba hai tere ithlane ka nam mauj-e-khushbu-e-ghazal be-rangi-e-ru-e-ghazal ek tere aane ka hai nam ek tere jaane ka nam zinda-e-jawed meri shairi ne kar diya nam tere gesuon ka aur mere shane ka nam phul tode koi patthar hum ko mara jae hai tu ne itna kar diya badnam diwane ka nam hum hain 'ajiz' aabru-e-bazm-e-yaran-e-ghazal ab isi aaine se hai aaina-khane ka nam