apni aashufta tabiat ka maza leta hun kash lagata hun aziyyat ka maza leta hun aankh bhi samne hone pe yaqin rakhti hai khwab-dar-khwab suhulat ka maza leta hun tu mere hisse ki wahshat ka maza leta hai aur main teri mashiyyat ka maza leta hun chandni sard hawa phul parinde khushbu raat-bhar teri zarurat ka maza leta hun jhil mein aag lagata hun badi fursat se aur phir baith ke fursat ka maza leta hun khauf khata hun kahin khud se na ukta jaun waqt ki taza riwayat ka maza leta hun