hai jo tasir si fughan mein abhi log baqi hain kuchh jahan mein abhi dil se uthta hai subh-o-sham dhuan koi rahta hai is makan mein abhi sath hai ek umr ka lekin kashmakash si hai jism-o-jaan mein abhi mar na rahiye to aur kya kije jaan hai jism-e-na-tawan mein abhi aur kuchh din kharab ho lije sud apna hai is ziyan mein abhi wo manazir meri nigah mein hain jo nahin wahm mein guman mein abhi nahin farigh zamin se 'anjum' kaam baqi hai aasman mein abhi