hai jo tufan be-nawaon mein phailne ko hai ab hawaon mein rakh dil ki kuredne walo aag lag jaegi fazaon mein mujh ko chaunkae kya koi naghma gum hun main apni hi sadaon mein bas yahi hai fasana-e-hasti sans li ghir gae balaon mein aur mear-e-haq buland hua kuchh izafa hua sazaon mein aankh rakhti hai kya samaat bhi suraten dekh lin sadaon mein umr bhar dhundte rahe 'saghar' bu-e-ikhlas kaj-adaon mein