barahnagi ka mudawa koi libas na tha khud apne zahr ka tiryaq mere pas na tha sulag raha hun khud apni hi aag mein kab se ye mashghala to mere dard ki asas na tha teri nawazish-e-paiham ke naqsh dil mein rahe main be-khabar sahi par aisa na-sipas na tha har ek sher tha mera mere khayal ka aks koi kitab na thi koi iqtibas na tha bikhar gae the so khud ko samet bhi lete ki is yaqin mein shamil mera qayas na tha