hai kaun jis se ki wada khata nahin hota magar kisi ka irada khata nahin hota jahan bisat pe ghir jae shah narghe mein wahan kabhi bhi piyaada khata nahin hota wo dushmanon mein agar ho to bach bhi jaun main usi ka war mabaada khata nahin hota jo sar bache bhi to dastar bach nahin sakti nishana us ka ziyaada khata nahin hota kisi ki gard-e-safar baithte bhi dekhenge hamari nazron se jada khata nahin hota hain tajrabe mere ehsanmand lafzon ke ho shakl ya ki labaada khata nahin hota