ab main payam-e-fasl-e-bahaaran ko kya karun daman kahan se laun gareban ko kya karun tasir-e-sozish-e-gham-e-pinhan ko kya karun rang-e-parida-e-rukh-e-jaanan ko kya karun paida yahin se mera nasheman bhi ho to jae be-e'tibari-e-gham-e-zindan ko kya karun teri nawazishon ne bikhere hazar gul lekin main apni tangi-e-daman ko kya karun yun to har ek dard ne bakhshi hayat-e-nau main fitrat-e-hayat-e-gurezan ko kya karun tum kya mile ki mil gain sari masarraten ab ye batao dida-e-giryan ko kya karun 'ehsas' kaise kaise hui thi sahar nasib phir aa rahi hai ab shab-e-hijran ko kya karun