hai kaun mo'atabar karun kis par yaqin main ghasib bane wahi jinhen samjha amin main khanjar chhupa ke lae the jo aastin mein samjha kiye tha un ko jahan ka amin main na ilm hai na fan na mata-e-hunar koi is par ye sochna rahun masnad-nashin main nachiz-o-kam-sawad jab izzat-maab hon lafzon pe kaise phir karun aakhir yaqin main dekha jo hans ko to hua hai bahut malul kawwa samajh raha tha hun sab se hasin main kyunkar na ruh-e-'mir' bhala mutmain rahe fan ki riwayaton ka hun dekho amin main us par meri hayat ka dar-o-madar hai wo abr-e-ab-dar hai pyasi zamin main hain roz-o-shab hayat ke yaksaniyat bhare 'jawed' ban ke rah gaya zinda machine main