hai kaun shai jis ki zid nahin hai jahan khushi hai malal bhi hai gham-e-judai na kha tu ai dil firaq hai to visal bhi hai jo tika sandal ka hai jabin par to pas abru ki khal bhi hai siphar-e-khubi ye mah bhi hai sabil bhi hai hilal bhi hai misal durr-e-najaf se kya dun ezar-sada ko us pari ke nahin hai baal us mein nam ko bhi ye aib hai is mein baal bhi hai khuda hi jaane ki kis rawish se kiya tha murgh-e-chaman ne nala padi hai ghunche ki chin jabin par to rang chehre ka lal bhi hai