har anjuman mein dawa-e-wahsaht kiya karo kudhta ho ji to logon se nafrat kiya karo jin doston ke bal pe sajate ho bazm-e-khas in sab ki ehtiyat se ghibat kiya karo tauba karo jo subh mein tute badan ki shakh shab mein bayan mai ki fazilat kiya karo ghar se chalo to zeb karo tauq-e-buzdili ghar mein raho to azm-e-shujaat kiya karo karte raho harifon se elan-e-sar-kashi lekin milo to un ki itaat kiya karo dilli mein ham-nashinon se 'sufi' khuda bachae bas dur rah ke apni hifazat kiya karo