hai khamosh aansuon mein bhi nashat-e-kaamrani koi sun raha hai shayad meri dukh bhari kahani yahi thartharaate aansu yahi nichi nichi nazren yahi un ki bhi nishani yahi apni bhi nishani ye nizam-e-bazm-e-saqi kahin rah sakega baqi ki khushi to chand lamhe gham o dard jawedani hain wajud-e-shai mein pinhan azal o abad ke rishte yahan kuchh nahin do roza koi shai nahin hai fani teri baat kya hai waiz mera dil wo hai ki jis ne isi mai-kade mein aksar meri baat bhi na mani pai-e-raf-e-bad-gumani main wafa barat raha tha meri pai-ba-pai wafa se badhi aur bad-gumani mera mai-kada salamat ki har ek qaid utha di na to dair ki ghulami na haram ki pasbani karun un se lakh shikwe magar un se shikwa karna na tariqa-e-mohabbat na riwayat-e-jawani