kitne dip bujhte hain kitne dip jalte hain azm-e-zindagi le kar phir bhi log chalte hain karwan ke chalne se karwan ke rukne tak manzilen nahin yaro raste badalte hain mauj mauj tufan hai mauj mauj sahil hai kitne dub jate hain kitne bach nikalte hain mehr-o-mah-o-anjum bhi ab asir-e-geti hain fikr-e-nau ki azmat se roz-o-shab badalte hain bahr-o-bar ke sine bhi zist ke safine bhi tirgi nigalte hain raushni ugalte hain ek bahaar aati hai ek bahaar jati hai ghunche muskuraate hain phul hath malte hain