hai khamoshi zulm-charkh-e-dew-paikar ka jawab aadmi hota to hum dete barabar ka jawab jo bagula dasht-e-ghurbat mein utha samjha ye main karti hai tamir diwani mere ghar ka jawab sath khanjar ke chalegi waqt-e-zabh apni zaban jaan dene wale dete hain barabar ka jawab sajda karta hun jo main thokar lagata hai wo but panw us ka badh ke deta hai mere sar ka jawab abr ke tukde na uljhen meri mauj-e-ashk se khushk maghzon se hai mushkil misra-e-tar ka jawab wo khincha tha main bhi khinch rahta to banti kis tarah sar jhuka deta tha qatil tere khanjar ka jawab jite-ji mumkin nahin us shokh ka khat dekhna baad mere aaega mere muqaddar ka jawab shaikh kahta hai barhaman ko barhaman us ko sakht kaba o but-khana mein patthar hai patthar ka jawab roz dikhlata hai gardun kaisi kaisi suraten but-tarashi mein hai ye kafir bhi aazar ka jawab har jagah qabr-e-gada takiye mein har ja gor-e-shah ek ghar is shahr mein hai dusre ghar ka jawab jalwa-gar hai nur-e-haq hone se yaktai 'amir' saya bhi hota agar hota payambar ka jawab