aana hai yun muhaal to ek shab ba-khwab aa mujh tak khuda ke waste zalim shitab aa deta hun nama main tujhe is shart par abhi qasid tu us ke pas se le kar jawab aa aisa hi azm hai tujhe gar ku-e-yar ka chalta hun main bhi ai dil-e-pur-iztirab aa ye khasta chashm wa hai tere intizar mein ai subh munh dikha kahin ai aaftab aa ta ye shab-e-firaq ki dijur dur ho ai rashk-e-mah ghar mein mere be-naqab aa aab-e-rawan o sabza o ru-e-nigar hai saqi shitab aise mein le kar sharab aa roen gale se lag ke baham khub koi dam kya dekhta hai ai dil-e-be-sabr-o-tab aa bahr-e-jahan mein der-shud aamad rawa nahin manind-e-qatra ja tu ba-rang-e-hubab aa qurbani aaj dar pe tere karni hai mujhe le kar ke tegh to bhi barae-sawab aa shayad wo tujh ko dekh ke gham khae 'mushafi' tu us ke samne to ba-chashm-e-pur-ab aa