hai koi ikhtiyar duniya par na hamein e'tibar duniya par apna dar-o-madar dil par hai aap ka inhisar duniya par jab jhada mera aakhiri patta aa chuki thi bahaar duniya par hamla-awar hawa khuda khud bhi is nahif-o-nazar duniya par jab koi abr jhum kar barsa chha raha tha ghubar duniya par dal rakkhi thi koi khud us ne chadar-e-intizar duniya par sara ilzam dhar diya kaisa hum ne payan-e-kar duniya par yun tawaqqo hi bandhna thi ghalat aisi na-paedar duniya par hum pe duniya hui sawar 'zafar' aur hum hain sawar duniya par