lahu lahu sa dil-e-dagh-dar le ke chale chaman se tohfa-e-fasl-e-bahaar le ke chale ruke to saya-e-abr-e-bahaar ban ke ruke chale to gardish-e-lail-o-nahaar le ke chale suna hai husn ki mahfil mein pyar bikta hai kaho ki ishq bhi daman ke tar le ke chale kaho saba se ki baithe hain rind jam-ba-kaf chaman mein qafila-e-nau-bahaar le ke chale wafa ki rah mein sab kuchh luta diya hum ne hamin ko ahl-e-wafa su-e-dar le ke chale kahin to dil ko milega sukun-e-ahl-e-junun chalo jahan bhi dil-e-be-qarar le ke chale unhen to dub hi jaana hai ek din 'waqif' jo sochte hain hamein koi par le ke chale