hai kyun naql-e-makani ye hawa-e-taza-tar kya hai

hai kyun naql-e-makani ye hawa-e-taza-tar kya hai
samajh mein kuchh nahin aata idhar kya hai udhar kya hai

numud-e-ibtida kya intiha kya hai bashar kya hai
ye kar-e-naqsh-gar kyun hai ye hairat ka safar kya hai

raza us ki to phir chubhta hua ye neshtar kya hai
badan kyun hai hisar-e-khauf mein aankhon mein dar kya hai

jo sach puchho ye taswiren kisi ek kaifiyat ki hain
kharosh-e-naghma-zan kyun hai sada-e-nauha-gar kya hai

na hona bhi hai hona be-makani la-makani hai
sar-e-kohsar ya farsh-e-zamin par hun khabar kya hai

nahin bujhti shikam ki aag kar-e-be-sukuni mein
sarir-o-taj-o-kishwar kya manal-o-mal-o-zar kya hai

jise na-khub kahte hain usi ko khub kahte hain
tamiz-e-khair-o-shar mein nukta-e-sad-motabar kya hai

pari-timsal hain subhen gariban-chaak hain shamen
talattuf hai ki mahshar jaane tasir-e-nazar kya hai

faqat ek lams jism-o-ruh ko shadab rakhta hai
hunar-mandon se puchho qand-lab mein ye hunar kya hai

hari thin khetiyan murjha gain baad-e-bahaari se
na jaane phul se chehre ka mausam par asar kya hai

dam-e-nazzara us ne chupke chupke khol din zulfen
mera ye puchhna hi tha ki naz-e-bahr-o-bar kya hai

'amin-ashraf' wo rahta hai kahin is shahr mein lekin
mile koi to puchhun surat-e-diwar-o-dar kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close