kaisi hai aah apni tabiat bhari hui aankhon mein ashk ashk mein hasrat bhari hui atkheliyan na kar tu nasim-e-sahar ki hai rag rag mein un gulon ki nazakat bhari hui kyun be-sabab hujum-e-tamanna-o-yas se hai is dil-e-hazin ki imarat bhari hui kis ja karega mayyat-e-ushshaq dafn tu yan hai shahid-e-naz ki turbat bhari hui gar jam tu pilae to pina halal hai tujh mein to saqiya hai malahat bhari hui kyun kar gada na tere ghani hun sanam ki hai dast-e-karam mein tere sakhawat bhari hui ifsha-e-raaz-e-ishq na ho khauf hai yahi chhupti nahin hai aankh mohabbat bhari hui tum dekh lo 'jamila' ki dil gham hua na ho aankhon mein un ke kyun hai nadamat bhari hui