hai lekin ajnabi aisa nahin hai wo chehra jo abhi dekha nahin hai bahar-surat hai har surat izafi nazar aata hai jo waisa nahin hai ise kahte hain andoh-e-maani lab-e-naghma gul-e-naghma nahin hai lahu mein mere gardish kar raha hai abhi wo harf jo likkha nahin hai hujum-e-tishnagan hai aur dariya samajhta hai koi pyasa nahin hai ajab mera qabila hai ki jis mein koi mere qabile ka nahin hai jahan tum ho wahan saya hai mera jahan main hun wahan saya nahin hai sar-e-daman-e-sahra khil raha hai magar wo phul jo mera nahin hai mujhe wo shakhs zinda kar gaya hai jise khud apna andaza nahin hai mohabbat mein 'rasa' khoya hi kya tha jo ye kahte ki kuchh paya nahin hai