tere dayar talak yun to aa hi jate hain ye aur baat tasawwur mein ji jalate hain meri udas nazar ka khayal hai warna use to chand sitare bahut bulate hain tamam umr bhatakte rahe jo sahra mein unhen ye wahm ki wo rasta dikhate hain sitam ki bhik sahi doston ka tohfa hai badi khushi se ye ehsan hum uthate hain hamari nazron ki pakizgi salamat hai isi kamal pe duniya ko hum jhukate hain ye karbala hai to ab laut kar kahan jaen tamam raste apne yahin pe aate hain use jo mansab-o-jah-o-jalal pyara hai to hum bhi kasa-e-tohmat kahan uthate hain