hai maslahat ki asir duniya main jaanta hun karegi kis dar pe ja ke sajda main jaanta hun hawa ki jitni nawazishen hain ye sazishen hain charagh aur aandhiyon ka rishta main jaanta hun main apne ashkon ka chhinta de dun to hosh aae abhi hai us ka zamir zinda main jaanta hun ye us ki teghen ye us ke neze ye us ke khanjar pighalne wala hai sara loha main jaanta hun kahan se baal aaine mein aae ye dekhna hai kahan se taqsim aks hoga main jaanta hun jo zimmedari mili hai jis ko nibha raha hai na koi pyasa na koi dariya main jaanta hun kisi zamane ki marifat kya kalam karna badalta rahta hai ye zamana main jaanta hun samajh raha hun wo kaise bichhdega mujh se 'tariq' kahan wo badlega apna rasta main jaanta hun