kaise rishton ko sameten ye bikharte hue log tut jate hain yahi faisla karte hue log ghaur se dekho hamein, dekh ke ibrat hogi aise hote hain bulandi se utarte hue log ai khuda marka-e-lashkar-e-shab baqi hai aur mere sath hain parchhain se darte hue log mar ke dekhenge kabhi hum bhi, suna hai hum ne muskuraate hain teri rah mein marte hue log qaid-khanon ke andheron mein bade chain se hain apne andar ke ujalon se guzarte hue log kitne chehron pe sar-e-bazm karenge tanqid aaina dekh ke tanhai mein darte hue log khud-kushi karne pe aamada o majbur hain ab zindagi! ye hain tere ishq mein marte hue log tum to be-wajh pareshan hue ho 'tariq' yunhi pesh aate hain wadon se mukarte hue log