hai mera tar-e-nafas tar-e-qafas rishte barpa hon giraftar-e-qafas murgh-e-dil ko zabh ai sayyaad kar aur tair hain sazawar-e-qafas shauq bulbul ko asiri ka jo ho ho zar-e-gul se kharidar-e-qafas kyun na main rangin-bayan hun qaid-e-ranj murgh-e-khush-khwan hai sazawar-e-qafas zindagi se qaid mein bhi hun subuk gah bar-e-dam gah bar-e-qafas mujh sa bulbul qaid ho kar chhut jae so gae kya bakht-e-bedar-e-qafas chashm-e-alam mein asir-e-dam hai ruh hai tan mein sazawar-e-qafas phand kar aaya tha diwar-e-chaman phand jaun kyun ki diwar-e-qafas kya hai dagh-e-khun-e-bulbul ki bahaar dekh ai sayyaad gulzar-e-qafas kab kisi bulbul ko milta hai gulab khun-e-dil pita hai bimar-e-qafas zabh karne ko utara nakhl se sar mera tha pa-e-raftar-e-qafas puchhta hai kya dil-e-bulbul ka haal dekh zalim jism-afgar-e-qafas ashk ko hai dam-e-gesu ki talash tifl hota hai kharidar-e-qafas ta-ba-kai hoga asir-e-dam-e-fikr 'arsh' kar mauquf ashaar-e-qafas