tashkil badar ki hai kabhi hai hilal ki duniya hai ek shabih uruj-o-zawal ki phulon se hai ladi hui har shakh-e-gulsitan rakh li khuda ne aabru dast-e-zawal ki jannat-farosh huron ke dallal khirqa-posh kya puchhte ho waiz-e-farkhanda-fal ki in mah-washon ko parde se bahar nikal ke duniya mitai jati hai husn-o-jamal ki mujh ko mila hai wo dil be-muddaa 'sarir' jis ko gham-e-firaq na hasrat visal ki