hai mere samne mere liye dil-gir koi

hai mere samne mere liye dil-gir koi
shayad ab husn ke tarkash mein nahin tir koi

jazba-e-shauq ki dekhe mere tasir koi
ban ke aaya hai mere sher ki tafsir koi

jurm-e-ulfat ki saza dar-o-rasan tak mahdud
aur kuchh is se siwa chahiye tazir koi

aaina ban ke teri bazm mein sab kuchh dekha
aur khamosh raha surat-e-taswir koi

meri wahshat se hai zindan mein jo ek hashr bapa
aa ke thodi si ghata de meri zanjir koi

ek hi baat pe chehron ke badal jaane se
qabil-e-dad koi laeq-e-tazir koi

hain meri nok-e-mizha par bhi nigahen sab ki
aankh ka apni nahin dekhta shahtir koi

'zabt' wo nudrat-e-guftar mili hai mujh ko
shauq se sunta hai aksar meri taqrir koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close