ghup andhere mein ujalon ki tarah milta hai

ghup andhere mein ujalon ki tarah milta hai
hae wo ghair jo apnon ki tarah milta hai

apne rahte hain kinaron ki tarah dur hi dur
ghair ab tut ke maujon ki tarah milta hai

kaun kahta hai ki main bhul gaya hun us ko
meri aankhon se jo khwabon ki tarah milta hai

husn is daur mein arzan hai sar-e-kucha-o-baam
ishq ab parda-nashinon ki tarah milta hai

waqt aaina-e-kirdar-o-amal hai goya
yahi dushman yahi yaron ki tarah milta hai

kaise kahiye ki yahi chehra hai asli chehra
har riya-kar faqiron ki tarah milta hai

dil jab ikhlas ki khushbu se mahak uthta hai
lutf neki mein gunahon ki tarah milta hai

har talabgar ye mear-e-ata kya jaane
gham bhi is bazm mein tohfon ki tarah milta hai

na khula 'zabt' ki uftad-tabiat ka tilism
parsa lagta hai rindon ki tarah milta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close