hai nahin koi nakhuda dil ka dil hi hai ek aasra dil ka chaar-su be-khudi mein phirta hai kuchh thikana nahin raha dil ka rasm-e-duniya ko kyun ye manega hai alag jag se qaeda dil ka shekh-o-pandit ko koi samjhae rab se rahta hai rabta dil ka rah-e-insaniyat hi awwal hai hai yaqinan ye falsafa dil ka do-jahan bhi yahan sama jaen kitna phaila hai daera dil ka lab talak aa ke baat hi badli kya kare lafz tarjuma dil ka aql kab aaegi tumhein 'mona' mante kyun ho tum kaha dil ka