teri nazar mein aalam meri nazar mein tu hai ek dil ke hath mein ab ek dil ki aabru hai fitrat ka rang le kar phirti jo chaar-su hai ek be-gunah dil ki masum aarzu hai pazhmurda gul chaman ka kaliyon se kah raha hai phulon ki khush-numai ek raaz-e-rang-o-bu hai jab had se badh gai kuchh har had meri khushi ki main ne samajh liya ki ab khatm aarzu hai honton ko ho na jumbish wo sab samajh rahe hon ye shan-e-guftugu bhi ek shan-e-guftugu hai mujh se suno junun aur bechaargi ka matlab phulon ki chah karna kanton ki aarzu hai kaun hai jo be-qarar hai tere baghair 'ashraf' manzil ko dekh shayad ab teri justuju hai