hai nind abhi aankh mein pal bhar mein nahin hai karwat koi aaram ki bistar mein nahin hai sahil pe jala de jo palatne ka wasila ab aisa jiyala mere lashkar mein nahin hai phailaw hua hai mere idrak se paida wusat mere andar hai samundar mein nahin hai sikha na duaon mein qanaat ka saliqa wo mang raha hun jo muqaddar mein nahin hai rakh us pe nazar jo kahin zahir mein hai pinhan wo bhi to kabhi dekh jo manzar mein nahin hai yun dhup ne ab zawiya badla hai ki 'asim' saya bhi mera mere barabar mein nahin hai