muztarib hain waqt ke zarraat suraj se kaho aa gai kyun aag ki barsat suraj se kaho hum hain aur shoalon ki lapten badh rahi hain har taraf kya hui wo chhanw ki ek baat suraj se kaho nachte hain ye bhayanak sae aakhir kis liye zer-e-lab kya kah rahi hai raat suraj se kaho ek tapta dasht hai aur sath koi bhi nahin kis safar mein hai akeli zat suraj se kaho rengte hain nag andeshon ke sanson mein yahan dhalne mein aati nahin hai raat suraj se kaho zoam hone ka raha ek umr hum ko aur aaj jal gae sab dhup mein jazbaat suraj se kaho