hai nok-e-Khaar mein kuchh wo to sabza-zar mein kuchh

hai nok-e-khar mein kuchh wo to sabza-zar mein kuchh
khizan mein kuchh hai magar mausam-e-bahaar mein kuchh

guhar tha mah tha jugnu tha ya sitara-e-sham
chamak raha tha teri chashm-e-ashk-bar mein kuchh

kahan ke wahm-o-guman ka hai silsila meri zist
ki us ke par hi kuchh hai na is hisar mein kuchh

tamam-umr wahi misl-e-khar chubhte rahe
guzar gae the jo pal saya-e-bahaar mein kuchh

phir is ke baad hai khud par yaqin na duniya par
thi aisi baat hi ek pal ke e'tibar mein kuchh

main us ki yaad se daman chhuda lun mujh ko khayal
tab aaya jab na raha mere ikhtiyar mein kuchh

na chahta wo to raushan na hoti koi bhi shai
hai nur us ka bhi kya sham-e-intizar mein kuchh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close