hai rang-e-hina jin mein wahi hath dikha de hasrat hai ki phir dil mein koi aag laga de yaktai ka dawa to bahut kuchh hai meri jaan kya ho jo koi aaina mahfil mein dikha de sabze ki tarah so gae wo sehn-e-chaman mein be-samjhe chatak kar koi ghuncha na jaga de khat padh ke na tham dam mera ruk jata hai qasid jo jo mari taqdir ka likkha hai suna de hans dete hain munh pher ke wo mere sirhane jab log ye kahte hain khuda is ko shifa de