hai rashk-e-wasl se gham-e-dildar hi bhala rahat se aisi hum ko wo dil-azar hi bhala duniya mein yaro yar-e-wafadar hi nahin aur jo na ho to rahna hai be-yar hi bhala mashuq ka nazara mayassar ho ya na ho aashiq hamesha talib-e-didar hi bhala zari pe meri rahm bhi kar aa khuda ko man kafir rahega hum se tu bezar hi bhala atwar-e-bad hai ghair se khulta mere huzur is ke ewaz na kar tu hamein pyar hi bhala zakhmon se gham ke tera kaleja to chhil gaya bulbul hai aise gul se tujhe khar hi bhala ek jura dard-e-mai pe ho itna na talkh-o-tund saqi main aise mast se hoshyar hi bhala 'hasrat' bura kiya main uthaya dil us se kyun dildar gar na tha to dil-azar hi bhala