hai yaad tujh se mera wo sharh-e-haal dena aur sun ke tera us ko hans hans ke tal dena kar kar ke yaad us ki behaal hun nihayat fursat zara tu mujh ko tu ai khayal dena us zulf-e-kaj ke uqde hargiz khule na mujh par kyun us ko shana kar ke ek ek baal dena main muddaa ko apne mahmil kahun hun tujh se gosh-e-dil apna idhar sahab-e-jamal dena is umr bhar mein tujh se manga hai ek bosa khali pade na pyare mera sawal dena hum se rukhaiyan aur munh jhulse muddai ka bosa pe bosa har dam dun be-sawal dena ya-rab kisi pe hargiz aashiq koi na ho jo dil hath dilbaron ke hai bad-maal dena wo mehrban ki hum ko altaf-e-bar-mahal se pas apne se tha us ko uthne muhaal dena dekhe hai dur se to kahta hai be-murawwat ye kaun aa ghusa hai is ko nikal dena qabu hai tera 'hasrat' mat chhod muddai ko dushman ko maslahat nin hargiz majal dena