hai shaikh o barhaman par ghaalib guman hamara ye jaanwar na char len sab gulsitan hamara thi pahle to hamari pahchan sai-e-paiham ab sar-barahnagi hai qaumi nishan hamara har mulk is ke aage jhukta hai ehtiraman har mulk ka hai father hindostan hamara zagh o zaghan ki surat mandlaya aa ke paiham custodian ne dekha jab aashiyan hamara makr-o-dagha hai tum se ijz-o-khulus hum se wo khandan tumhaara ye khandan hamara fariyaad mai-kashon ki sunta nahin jo bilkul bahra zarur hai kuchh pir-e-mughan hamara dar par hamare gum ho har ek hasin to kaise har aastan se uncha hai aastan hamara har tajwar ki is par lalcha rahi hain nazren hai jaise halwa sohan hindostan hamara ho gar tumhaari marzi to bahr-e-ranj-o-gham se ho jae par beda allah-miyan hamara chah-e-zaqan se un ke sairab to hue hum mithe kuon se achchha khaara kuan hamara hon shaikh ya barahman sab jaante hain mujh ko hai 'shauq' nam-e-nami ai mehrban hamara