gur but-e-kam-sin dam bichhae bulbulen kya hain hathi phansae un se nigahen kaun milae tewari chadhi hai munh hain phulae masnad-e-zar pe baitha hai waiz khinsen nikale chandiya ghatae us se wo milte rahte hain aksar roz unhen jo chae pilae mahw-e-khiram-e-naz hai koi zulfon mein kadwa tel lagae raat ko aksar shaikh-e-haram bhi mai-kade pahunche munh ko chhupae gardish-e-qismat gardish-e-dauran jis ko chahe khub nachae jis ko bhi chahe dost nawaze jis ko na chahe thenga dikhae leta hai dast-e-naz ke bose hum se achchha life-boy rok nigah-e-hirs ko mali tere chaman ko charne na pae