hai shart qimat-e-hunar bhi ab to rabt-e-khas par milega sang-e-dad bhi hawa ke rukh ko dekh kar kabhi hawa ka ajr hai kabhi ruton ka hai hunar kahan hua hai aaj tak parind koi mo'tabar kanar-e-ab khun-chakan jabin to khak ho chuki ye kis ka aks paniyon mein phir utha raha hai sar hazar mein asir hun tere tilism-e-nutq ki ye qufl-e-dil kahan khula kalid-e-harf se magar hawa ka rizq ho chuke ujale meri rah ke ki ab ke phir siyahiyon ki samt uth gai nazar wo jaega to is ke baad dukh hi ghar mein aaega na jaane kis ummid par saje hue hain baam-o-dar