guftugu kyun na karen dida-e-tar se baadal laut aae hain sitaron ke safar se baadal kya ghazabnak thi suraj ki barahna shamshir kale mujrim ki tarah nikle na ghar se baadal raat ki kokh koi chand kahan se lae ye zamin banjh hai barse ki na barse baadal barf se kahiye ki saughat kare un ki qubul lae hain aag ke dastane safar se baadal main ki hun dhup ka aazad parinda lekin baal kyun noch rahe hain mere par se baadal aakhiri khat to likhunga main lahu se khud ko ab bhi mayus jo laute tere dar se baadal na kisi jism ka jadu na ghata gesu ki 'prem' kyun ruth gae prem-nagar se baadal