hai tajjub aaj tak bhi ishq kyon ruswa nahin dard be-awaz sa hai gham ka bhi saya nahin jo hua anjam diwane ka wo hota nahin wo samajh jata magar kuchh hum ne samjhaya nahin mere kamre ki bhi diwaron se ye puchhe koi koi kya jaane ki main kyon raat bhar soya nahin main kahin jaun mere ham-rah us ki yaad hai tum mujhe tanha samajhte ho to main tanha nahin ho sake to aap rakhiye apne aibon par nazar dusron ki khamiyon par tabsira achchha nahin kis qadar badla hai mujh ko waqt ne haalat ne aaina hai samne lekin mera chehra nahin dur tak milta nahin hai us mein aashiq ka wajud ishq aisi dhup hai jis mein koi saya nahin sham-e-gham so jaun tujh ko sath le kar subh tak apne wade par use aana tha wo aaya nahin be-khabar be-samt hi apna raha hai ye safar ja rahe hain hum kidhar khud ko bhi batlaya nahin is qadar beganagi khud se rahi hai umr bhar apne haal-e-zar par 'arpit' kabhi socha nahin