apne muhafizon se hirasan hai zindagi is zindagi ke haal pe hairan hai zindagi yun runuma hue mere haalat mein tazad gulshan kabhi thi aaj bayaban hai zindagi us shakhs ka bhi aaj muqaddar sanwar gaya likha tha jis ke dar pe pareshan hai zindagi ghar baithne se mil na sakega koi suragh azm-o-amal ki rah mein pinhan hai zindagi kyon zindagi ki mujh ko dua de rahe hain aap mere liye to maut ka saman hai zindagi do-chaar din mein gham se milegi hamein najat do-chaar din ki aur ye mehman hai zindagi 'ejaz' koi puchhne wala nahin yahan urdu ki tarah be-sar-o-saman hai zindagi