hai tamanna-e-sair-e-bagh kise gul se sazish kare dimagh kise kis ka aalam kahan ke bagh o bahaar apne aalam se hai faragh kise us ke aawargan ko dhunde hai khalq un ka milta hai yan suragh kise itna be-sudh nahin main ai saqi khali deta hai tu ayagh kise tujh bin ai wahshat-e-junun-e-bahaar khush lage hai ye bagh o ragh kise lala dekh us ki chhab ko kahta tha dagh par de gaya hai dagh kise go andheri hai 'mushafi' shab-e-hijr par hui khwahish-e-charagh kise