hai tanhai mein bahna aansuon ka sabab chehron ki in shadabiyon ka ba-zahir main bhi khush aur tu bhi masrur magar dekhe koi aalam dilon ka wafa parchhain ki andhi parastish mohabbat nam hai mahrumiyon ka hai apni zindagi jitna purana talluq aankh se viraniyon ka har ek chehre pe hai tahrir gham ki zaruri to nahin khulna labon ka ye main hun ya koi masum bachcha taaqub kar raha hai titliyon ka 'kamal' ab khud bhatakta phir raha hai tamannai tha udti khushbuon ka