ghazal mein husn ka us ke bayan rakhna hai kamal aaankhon mein goya zaban rakhna hai jahaz-ran hunar o hausla na le ja sath hua ke rukh pe agar baadban rakhna hai bhara to hai mera tarkash magar ye dil hai gudaz so umr bhar mujhe khali kaman rakhna hai diye bujhati rahi dil bujha sake to bujhae hawa ke samne ye imtihan rakhna hai bahut hanse mere is faisle pe saya-nashin ki sar pe dhup ko ab saeban rakhna hai ho intizar-e-bahaaran jahan na ranj-e-khizan 'kamal' aisa bayaban makan rakhna hai