hai tariqa koi khwab-e-wasl ki tabir ka mere us ke darmiyan parda hai ek taswir ka zikr tera tark karna hai mere gham ki dawa muntazir hun is mujarrab nuskhe ki tasir ka yaad mein teri tadap kar haal-e-dil karna raqam murtakib hota hun main har shab isi taqsir ka zakhm-e-dil ko dhankne ka ek wasila tha sukhan phir wo hila ban gaya is zakhm ki tashhir ka han wahi sarkash mujhe ek ja nazar aaya tha kal sar jhuka kar sun raha tha faisla taqdir ka karta hun iza-e-tanhai ki tadbiren bahut kaw-kawe imtihan leti hai har tadbir ka aagahi ne chup kiya aisa ki shahr-e-shor mein nara-e-haq rah gaya hissa meri jagir ka