qayamat thi ki tum guzrin magar sab khairiyat se hain ye duniya dost sathi chaaragar sab khairiyat se hain wahi din ka nikalna hai wahi phir sham ka dhalna tumhaare baad bhi sham-o-sahar sab khairiyat se hain tumhaari yaad se raushan mera gham-khana rahta hai ujala raushni shams-o-qamar sab khairiyat se hain mera tuta hua dil ja-ba-ja ab reza reza hai rag-e-jaan para-e-qalb-o-jigar sab khairiyat se hain go tum tak ja nahin pate tum un ko sun nahin patin wo lekin nala-ha-e-be-asar sab khairiyat se hain main tum se jhut bolun yun kahun ghar khairiyat hai sab chalo sab thik hai diwar-o-dar sab khairiyat se hain hain hum sab gardish-e-dauran ke fauladi shikanje mein salib-e-zist pe jakde bashar sab khairiyat se hain sabaq sad-raegani ka jo aashiq padh nahin pae hain ghaltida ba-khun-e-dil magar sab khairiyat se hain tumhaare baad se duniya mein shaffafi zara kam hai riya-kari ziyaada hai magar sab khairiyat se hain ye dil tanha tumhein kho kar bahut viran rahta hai gali kuche ye basti aur nagar sab khairiyat se hain