hai tasawwur mujhe har dam teri yaktai ka mashghala aath pahar hai yahi tanhai ka ishq mein rashk hamesha se chala aata hai dekho qabil ne kya haal kiya bhai ka jam-e-sail ki tarah hain meri aankhen dar dar jab se aashiq kisi kafir-e-shaidai ka ishq-e-kaamil jo hua nang kahan aar kahan dhyan badmast ko rahta nahin ruswai ka hijr mein gardish-e-behuda jo hai ai saqi jam kya kasa-e-sar hai kisi saudai ka meri aankhon ne tujhe dekh ke wo kuchh dekha ki zaban-e-mizha par shikwa hai binai ka qadam aghyar ka rakhna ho gawara kyun kar tere dar par hai mujhe shaghl jabin-sai ka mujh se rahta hai ramida wo ghazal-e-shahri saf sikha hai chalan aahu-e-sahrai ka hijr mein chatke jo ghunche hui aawaz tufang sehn-e-gulzar hai maidan-e-saf-arai ka jis ne dekha tujhe ai yar hua diwana hai tamasha tere har ek tamashai ka sabza rangon ka ye hai khak muqarrar 'nasikh' sabz rang is liye aata hai nazar kai ka